Amma Fizza Lyrics
Amma Fiza, bata de mujhko, pathar kyun aa rahen hein… (x4)
Kaisa hei ye charaghan, dil doobe jaarahe hain, kya shaam aa gaya hai.
Hone lagi azaanai, kaisai saron ko dhaapein
Baazoo bande hooein hai, khoon ro rahi hai aankhein
aakhon se khoon ke raste, khoon mein naha rahei hein
Kya shaam aagaya hei,
Amma Fizza…
Sajjad ka kaleja, sadpas ho raha hei
Ik aik zakhm inka is gham mein ro raha hei
Zainab ka naam le kar aadaab la rahei hein
kya shaam aa gaya hai
Amma Fizza…
Naizon pe jitne sar hain, ik sar hai un mei aisa
Aankhein hain band uski, aur khak par hai girta
Abbas ka ye sar hai, tewar bata rahei hain
kya shaam aa gaya hai
Amma Fizza…
Itne chalein hain pedal, kanton pe sare kaidi
Thak jati chalte chalte, chalti agar zameen bhi
Peron ke aable bhi, aansoo baha rahei hain
kya shaam aa gaya hai
Amma Fizza…
Hain log kis tarha ke, humse dua karayein
Eh kaidyon dua do, ye din na humpe aayein
Le kar duaein hum se, dil bhi dukha rahei hei
kya shaam aa gaya hai
Amma Fizza…
Maaon ke godion se, lipte huei hein bache
Hein haat rasion mein , paon se aise jakre
Bache jo gir rahe hein, voh marte ja rahei hein
kya shaam aa gaya hai
Amma Fizza…
Rehaan qaidion mein, barpa hai shor aisa
Palko se kar rahi thi, matam voh bint-e-zehra
Sajjad noha khwan hein, noha suna rahei hain
kya shaam aa gaya hai
Amma Fizza…
0 Comments