Jewan Ka asasa tha, peeri ka sahara tha kiya jaane woh kiya kiya the Akbar mera pyara tha raaj dulara tha Akbar mera pyara tha Raaj Dulara tha
Akber ki jawani par sau jaan se fida madar aye kaash ussay dekhun ek baar nazar bharkar wo ankhoun ka taara tha, raaj dulara tha Akber Mera Pyara...raaj dulara tha
Ye din they jawani keh, Akbar teri shadi ke kis tarhan lutay arman, teri maa dukhiyari keh aisa to na socha tha, raaj dulara tha Akber Mera Pyara tha...raaj dulara tha
Kya khoob woh surat thi, nana ki shabahat thi wabasta buhat tumse, apno ki mohabbat thi woh sab ka dulara tha, raaj dulara tha Akber Mera Pyara tha ...raaj dulara tha
Ek Daaghe alam dekar, kis samt chale Akbar Sar kham kiye rokar, beta teri rahoun par baab ka ye naala tha, raaj dulara tha Akber Mera Pyara tha...raaj dulara tha
Seene main jo bhala hai is dil main bhi utra hai kaise ye sahoon sadma ye maa ka kalaija hai wo nazon ka paala tha raaj dulara tha Akber Mera Pyara tha...raaj dulara tha
Maidan se jo aate tum aur maa ko bulate tum pani main tumhain deti, aur piyas bujhate tum kiya maa ko pukara tha, raaj dulara tha Akber Mera Pyara tha...raaj dulara tha
Jab Yaad Teri aaye dill tumko kahan paye itna to bata jao, madar ye kahan jaye youn mujhko rulana tha raai dulara tha Akber Mera Pyara...
Jab Ali Shanawar ye zikar gham sunata hai Zakira ka ye noha har maa ko rulata hai Gham ye kitna gehra tha raaj dulara tha Akber Mera Pyara tha...raaj dulara tha
0 Comments