Khule Gaye Bandhe Kafan Zehra Pukari'n Ya Hussain
Noha Khwan Sonu Monu
Poetry by - Madad AliJohn
Shahadat Hazrat Fatima Zahra sa
Ayyam-e-Fatimiyah 2020
Syeda sa , Tahira sa, Razia sa, Marzia sa
Syeda sa, Tahira sa, Razia sa, Marzia sa
Aey Madar e Hussain , Aey Madar e Hussain
Aey Madar e Hussain , Aey Madar e Hussain
Khule Gaye Bandhe Kafan Zehra Pukari'n Ya Hussain
Aa Bulati Hai Tujhay Aa Bulati Hai Tujhay
Maa A Galay Lag Ja Hussain
Zulm Yun Mujhpar Na Hotay To Mujhay Umeed Thi
Daikhti Main Bhi Tairay Sar Par Saja Sehra Hussain
Main Kafan Main Hun Magar Jati Hun Yeh Armaan Liye
Bai Kafan Reh Jaye Na Ban Main Tera Lasha Hussain
Tab Say Zainab Ki Rida Ki Fikr Rehti Hai Mujhy
Daikha Jab Say Mainay Ghar Ka Jalta Darwaza Hussain
Khul Gaye Bandhe Kafan Zehra Pukari'n Ya Hussain
Ghasib e Haq Fidaq Nay Ek Sitam Yeh Bhi Kiya
Us Dukhi Maa Say Tumhara Sath Bhi Cheena Hussain
Jaam Pani Ka Hamesha Sath Rakh Kar Soyi Hun
Daikh Zainab Reh Na Jaye Raat Ko Piyasa Hussain
John Ab Mazloom Baitay Ki Dukhi Maa Har Jagah
Har Saf e Matam Pay Daiti Hai Sadaye Hussain
Khul Gaye Bandhe Kafan Zehra Pukari'n Ya Hussain
2 Comments
probamMgiota Darrin Leedham https://wakelet.com/wake/6AzquSipy52fOMEupsXlF
ReplyDeletemensutorpe
riatrosFcon_yu_1983 Charlie Horne Sketchup
ReplyDeleteESET NOD32 Smart Security
McAfee Internet Security
ilamriada