ROZADARO QAYAMAT KE DIN HAIN - Mesum Abbas - 2019

ROZADARO QAYAMAT KE DIN HAIN

Ibne muljim ne haider ko mara 
Rozadaro qayamat ke din hain 

Tum se chuta hai mola tumhara 
Rozadaro qayamat ke din hain 

Soni kabre rasool e khuda hai 
Ghar main zehra ke Ah o baqa hai 

Khak urata hai haider ka kunba 
Rozadaro qayamat ke din hain

Ale ahmed pe afat ye ai 
beqasoin pe yatemi hai chahi

Uth gaya sar se haider ka saya 
Rozadaro qayamat ke din hain

Ghar main khaliq ke haider ko mara 
Jansheen payamber ko mara 

Hai sajda main sarwar ko mara 
Rozadaro qayamat ke din hain

Dil hilate hain zainab ke nal
Khak urate hain sub ke kunba wale 

Uth raha hai ali ka janaza 
Rozadaro qayamat ke din hain

Ibne muljim ne haider ko mara 
Rozadaro qayamat ke din hain

Post a Comment

0 Comments

const chk = document.getElementById('chk'); chk.addEventListener('change', () => { document.body.classList.toggle('dark'); });