MAA ZEHRA
Maa Fatima Zehra (sa) Kiya Ye Zainab o Kulsoom Ne Noha Ae Maa Zehra (sa) Sare Darbar Batlao Hua Kya Kya Ae Maa Zehra (sa) Suna Hai Aapko Darbar Mai Pehron Khara Rakha Ye Kehdo Jhoot Hai Zaalim Ne Tumko Hai Kaha Jhoota Ye Haathon Mai Hai Kis Tehreer Ka Tukra Ae Maa Zehra Nishaan Kaise Hain Chehre Par Rida Se Jo Chupaati Ho Nazar Hum Betiyon Ki Apne Rukhse Kyun Hataati Ho Batao Hogaya Rukhsaar Kyun Neela Ae Maa Zehra Yaqeen Ata Nahi Binte Nabi Jis Waqt Roti Thi Wahan Par Kehqahay lagte they aur Ummat Ye Hansti Thi Tarapte Honge Manzar Dekh kar Nana Ae Maa Zehra Duain Maaon Ki Khaaliq Kabhi Bhi Rad Nahi Karta Hamare Haq mai karna jab dua to bus yahi karna Na Ho Humko Kabhi Darbar Mai Jaana Ae Maa Zehra Bus ek din mai Amma aapki haalat ye badli hai Kamar kham hogayi Hai aur baalon mai safaidi hai Tumhe ek pal ko hamne bhi na pehchaana Ae Maa Zehra Galay lagjao mere aao Maa ke paas ajaao Meri shehzaadiyon mai theek hoon hargiz na ghabrao Ye kehkar tum hamara dil na behlaana Ae Maa Zehra Yahi Azlan o Mesum Betiyan kehti raheen Rokar Tumhare haal se zaahir hai sab darbar ka manzar Saha jo zulm tumne chup Nahi sakta ae Maa Zehra
2 Comments
Unura0statma Carol Kirby https://wakelet.com/wake/w8dEryCxrLxiTfJCr-EOY
ReplyDeletetoduconsa
OmonsrisZsupse Tiffany Cannon Link
ReplyDeleteFonePaw
Norton Security
reufurmager